Wednesday, 15 June 2011

Mashur Shayer DR.Rahat Indori.

 
 1:
uskii katthaii aaNkhoN meN haiN jantar mantar sab
chaaquu vaaquu, chhuriyaan vuriyaan, Khanjar vanjhar sab

jis din se tum ruuThiiN mujhse ruuThe ruuThe se haiN
chaadar vaadar, takia vakia, bistar vistar sab

mujhse bichhuR kar voh bhii kahaaN ab pahle jaisii hai
bhiige paR gaye kapRe vapRe, zevar vevar sab
 
2.
Dosti jab kisi se ki jaye
Dushmanon ki bhi raye li jaye
Maut ka zahar hai fizaon may
Ab kahan ja ke sans li jaye
Bas isi soch may hun duba hua
Ye nadi kaise par ki jaye
Mere mazi ke zakhm bharane lage
Aj phir koi bhul ki jaye
Botalen khol ke to pi barason
Aj dil khol ke bhi pi jaye 

3.
log har mod pe ruk ruk ke sambhalate kyuu hai.n
itanaa Darate hai.n to phir ghar se nikalate kyuu  hai.n

mai.n na juganuu huu.N diyaa huu.N na ko_ii taaraa huu.N
raushanii vaale mere naam se jalate kyuu.N hai.n

niind se meraa ta'alluq hii nahii.n baraso.n se
Khvaab aa aa ke merii chhat pe Tahalate kyuu.N hai.n

mod hotaa hai javaanii kaa sambhalane ke liye
aur sab log yahii.n aake phisalate kyuu.N hai.n 


 
 

No comments:

Post a Comment